Monday, January 22, 2007

Kaam...



Aankhon me raha kabhi dil main utar kar nahi dekha..
Kashti ke musafir ne kabhi Samandar nahi dekha...

Patthar dil hu main kahte hain duniya wale..
Main to Mom hu tumne chhukar nahi dekha...

Kale sheeshon se duniya nazar nahi aati..
Nangi aankhon se bhi hijr me chand nahi dekha...

Rone gaane ko hazaron hai duniya me..
Bachche ke honthon ki muskan ko nahi dekha...

Koum, Jat, Dharm, Vatan sab kuchh yad hai hume..
Insaan ka kaam Tumne, Maine aaj tak karke nahi dekha...

Labels: